|
|
|
|
| |

|
|
|
Mujhko Tanha |
Baba
jaan haae Baba jaan, Baba jaan haae Baba
jaan
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x3
- (Mujhko
mehmil me bhale) x2 tum na bithaana Baba
(Mujhko tanha na kabhi chorke jaana
Baba) x2
-
Gar khataa mujhse huwi hai to khataa
maaf karo
(Maardaale na mujhe) x2 aapka jaana Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Dekh tayyaar Sakina (A.S.) hai Ali Akber
(A.S.) bhi
(Hun agar ghair to tum) x2 itna bataana
Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Tum se shikwa na karungi apni bimaari ka
(khud hi le lungi dawa) x2 tum na
pilaana Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Saath Asgher (A.S.) ko liye jaane ka
maqsad kya hai
(Apni bimaar se tum) x2 ye na chupaana
Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Baba pardes mein Akber (A.S.) ki karo
jab shaadi
(Us ghari Sughra (A.S.) ko tum) x2 bhool
na jaana Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Phir agar mil na saki itni guzaarish hai
meri
(Meri turbat pe diya) x2 aake jalaana
Baba
(Mujhko
tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
-
Kaarwaan jab ye chala karbobala ay "Yaawar"
(Sughra (A.S.) kehti thi yehi) x2 lot ke
Aana Baba
(Mujhko tanha na kabhi chorke jaana
Baba) x2
|
|
|
| | |