-
Asr ka manzar yaad to honga
Garm hawa jalta huwa sehra
Sheh ne uthaaya laashe pe laasha
Akhir bole sayyed wala
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Kon hai jo imdaad ko aye
Zakhm badan par sainkaro(n) khaaye
Qatl huwe ansaar bhi haaye
Koi sune bekas ki sada
(Halmin nasirin yansurna) x3
Halmim-mughethee yugheethuna
-
Subh hai to ham jab dasht mei ayi
Thak se huwi batil ki larayi
Maragaya shabbir ka bhaayi
Thaam ke dil sarwar ne kahaa
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Tukre huwa Akbar ka kaleja
Dil mei huwa pe wast jo neza
Phel gaya ankho(n) mei andhera
Rokar ibn-e-zehra bola
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Bikhar gaya maydaan mei lasha
Wo jo tha ik raat ka dulha
Qasim khu(n) taqseem huwa tha
Karbobala ke lab pe tha nawha
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Teero(n) ki barsaat mei asghar
Qatl huwe dast-e-sarwar par
Madar-e-asghar khayme ke dar par
Kethi thi ay baar-e-ilaaha
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Rehgaye tanha sibt-e-payambar
Maara gaya mazloom ka lashkar
Koi nahi tha munis-o-yawar
Baqi tha Shabbir ka sajda
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Chal gaya halk-e-shah pe khanjar
Dar pe khari thi Zainab-e-Muztar
Ayi qayamat arsh-o-zami(n) par
Jab gunja Shabbir ka naara
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Tukre huwa Akbar ka kaleja
Dil mei huwa pe wast jo neza
Phel gaya ankho(n) mei andhera
Rokar ibn-e-zehra bola
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Teero(n) ki barsaat mei asghar
Qatl huwe dast-e-sarwar par
Madar-e-asghar khayme ke dar par
Kethi thi ay baar-e-ilaaha
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
-
Kaise kahu(n) "Rehan" wo lamha
Tegh tale sehroz ka pyaasa
Kehta tha ay rab-e-kaaba
Pura kiya mene har wada
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna
(Halmin
nasirin yansurna) x3 Halmim-mughethee
yugheethuna