Sakina
(A.S.) roti hai roro ke maa ko kehti hai
Ye
beti raat ki khaamoshiyon se darti hai
Wo
nanhe haathonko jore tarapte lehje mein
Sakina (A.S.) hinchkiyaan leleke itna
kehti hai
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
Baazu ke nishaan kya mit paaege, Amma
kab lowt ke ghar jaaege
Amma Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke
ghar jaaege) x2
Yaad aata hai mujhko mere baba ka wo
sinaa
Paati thi sukun jispa teri jaan Sakina
(A.S.)
Armaan adhure reh jaaege
Amma kab lowt ke ghar jaaege
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
Kaanonse lahu behta hai rukhsaar hai
neele
Amma tumhe maalum hai dukh kitne hai
jhele
Kya ham pe sitam kam ho jaaege
Amma kab lowt ke ghar jaaege
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
Is tarha yateemon pe kabhi zulm huwe
hain
Be jurm o khata kaanonse gauher kya
chine hain
Puchungi ye baba jo mil jaaege
Amma kab lowt ke ghar jaaege
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
Ehsaas ye jine nahi deta mujhe amma
Baba se milaado hai guzaarish meri amma
Ye dard liye ham mar jaaege
Amma kab lowt ke ghar jaaege
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
"Yawar"
ye Sakina (A.S.) ke labon par rahaa
nawha
Kab jaaege Amma ham watan shehre madina
Haathon pe rasan kya khul jaaege
Amma kab lowt ke ghar jaaege
Amma
Amma Amma Amma (Amma kab lowt ke ghar
jaaege) x2
|