|
|
|
|
| |

|
|
|
Shabbir
Ka Matam |
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Islaam ki hai shaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Munkar ke liye, zarbe Ali, maatame
shabbir
Maatam ke mukhaalif ke liye khanjaro
shamshir
Momin ki hai pehchaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir ka maatam, Shabbir ka maatam)
x2
-
Ruk sakta nahi maatame shabbir jahaan me
Maatam ye sare hashr bapaa hoga jinaan
me
Apna to hai imaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Khushnudiye Zehraa issi maatam ke sabab
hai
Islaam bhi zindaa issi maatam ke sabab
hai
Kyun na kare insaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Khud qabr me karte hai nabi girya o
maatam
Ye Soch ke har saal jab aata hai
muharram
Karte hain musalmaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Wo farshe azaa jisne bichaai sare
zindaan
Do apne pisar bhaai pe jisne kiye viraan
Zainab ka hai armaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Baatil ke liye khof hai khanjar hai ye
maatam
Haq banke bapaa aaj to ghar ghar hai ye
maatam
Jannat ka hai saamaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Zehraa ki duaa hai, dile haider ki
tamanna
Ruksaktaa nahi rok ke dekhe isse dunya
Qur’aan ka unwaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Ye ajre risaalat hai Muhammad ki qasam
hai
Ye maatame shabbir to imaanka bharam hai
Hai deen pe Ehsaan, Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
-
Be hubbe Ali jis tarah milti nahi jannat
Be maatame shabbir milegi nahi izzat
Karte raho "Rehaan", Shabbir ka maatam
(Shabbir
ka maatam, Shabbir ka maatam) x2
|
|
|
| | |