|
|
|
|
| |

|
|
|
Shaam-e-Ghariba |
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x2
- Maqtal me
gunjti rahi, Zainab ki ye fughaan
(Shaame
Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
- Mehmaan
bulaakar hame barbaad kiya hai
Had hogayi ek bundh bhi paani na diya
hai
Rota raha hai pyaas se, Asgher sa be
zubaan(Shaame
Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
- Jo ghar se
gayaa, waapas nahi aaya
Paamaal huwa dasht me, Shabbir ka laasha
Ab tu hi bataade mera, Abbas hai kahaan
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x3
- Tu aai aise
waqt me, jab chin gai rida
Khaimoke saath nanha sa jhoola bhi jal
gaya
Phela huwa hai chaaro taraf dekhle
dhuaan(Shaame
Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
- Ghash me para
hai Aabide bimaar kya karun
Koi nahi hai mera madadgaar kya karun
Akber shaheed hogaye, ab kown de azaan
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x3
- Aai thi
karbala me bharaa ghar liye huwe
Abbas mere sar pe the saaye kiye huwe
Mei aaj tanhaa rehgai, aadaa ke
darmiyaan
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x3
- Jaana hai qaid
hoke jo zindaane shaam me
Roro ke din guzaarungi yaade imam me
Baandhi gai hain dekhiye shaanome
rassiyaan
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x3
- Majboor be
watan hun nawaasi nabi ki hun
Zehra ki laadli hun me beti Ali ki hun
Kyun resmaan me baandhi gai, hai
qalaaiyaan
(Shaame Ghareebaan,
Shaame Ghareebaan) x3
- "Rehan"
daastaane umam, kaise ho raqam
Zainab ke bayn likh nahi sakta mera
qalam
Chashme qalam se khun ke aansu huwe
rawaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan)
x3
|
|
|
| | |