|
|
|
|
| |

|
|
|
Sajjad
Ghareebul Ghurbaa |
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x3
-
Ashkoke diye tere liye laaya hai baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
- (Kya
ardh karun saath zabaan hi nahi deti) x2
Mene tera laasha bhi na dafnaaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
-
(Ye ujra huwa qaafila aaya hai palat kar)
x2
Beta tera ashkonka kafan laaya hai baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
- (Darbaaron
me baazaaronme zindaan me jaakar) x2
Paighaame shahaadat tera pohnchaaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
- (Zanjeer
thi haathonme mere toq gale me) x2
Ek phal bhi sukunme ne nahi paaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
-
(Be maqnao chaadar thi phuphi majma-e-
kuffaar) x2
Is haal ne kya kya mujhe rulwaaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
- (Zindaame
Sakina ki lahad me ne banaai) x2
Sajjad amaanat teri chor aaya hai baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
-
(Majlis bhi karunga tera maatam bhi
karunga) x2
Rone tujhe bimaar idhar aaya hai baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
- (Mein
saaye me kis tarah se bethunga bataao)
x2
Laash tera maqtal me jo be saaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
-
(Baba zara haalat phuphi ammaa ki to
dekho) x2
Hare ek qadam zakhme jigar khaaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
-
("Rehaan" ka nawha jo parhaa "Bande Ali"
ne) x2
Sajjad ne khun aankhonse barsaaya hai
baba
(Sajjad
ghareebul ghurabaa, Aaya hai baba) x2
|
|
|
| | |