|
|
|
|
| |

|
|
|
Maul
Aagae |
Kaabe
ke sanam, tum kya jaano
Tumhe torne waala aaya hai
Hoke
na khuda jo khudai kare
Ek
aisa insaan aaya hai
(Maula
Aagae, Maula Aagae) x2
-
Gagan ka taara zameen pe utra, dukh ke
andhere dur huwe
Abu Jahal aur Abu Lahab ke, sapne chakna
chur huwe
Aae nabi daaman phelaae, Rahmat ke
baadal lehraae
Jhuum ke aai bahaar
(Maula
Aagae, Maula Aagae) x2
-
Paap ki nayya duub gai aur, kanyon ka
bera paar huwa
Dosh-e-Nabi par Ali (A.S.) jo aae,
wahdat ka izhaar huwe
Roshan huwe Mohr-e-Nabuwwat, Jaag uthi
kaabe ki qismat
Buth hogayi masmaar
(Maula
Aagae, Maula Aagae) x2
-
Khayber ka yudh kitna kathin tha, pucho
saare lashkar se
Baat koi jab ban nahi paai, ashaab-e
Payghamber se
Aise mein hukme khaaliq aaya, Naade Ali
(A.S.) ne asar dikhaaya
Jeet ne badli haar
(Maula
Aagae, Maula Aagae) x2
-
Roshan Roshan tur ka manzar, aur fizaa
nuraani hai
Jaane kiska jalwa dekha, aankhonme
hairaani hai
Raaz-e- Mashiyyat dil mein chupaae, Musa
jisdam hosh mein aae
Labon pe thi ye pukaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
-
Qabr ki wahshat ghor andhera, sanaaton
ka dera tha
Tanhaa be bas jaan ke shaayad,
Andeeshone ghera tha
Aise mein ek suraj utra, Mujhda
farishtone ye sunaaya
Mat ghabraao zinhaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
|
|
|
| | |